Skip to content

Latest commit

 

History

History
35 lines (26 loc) · 1.88 KB

114_Surah_Nas.md

File metadata and controls

35 lines (26 loc) · 1.88 KB

Number 114: Surah Nas

Classification: Madani Rukus: 1 Ayahs: 6 Subject: Touheed (Allah ki panah) Related Surahs: 109. Surah Kafirun, 112. Surah Ikhlas and 113. Surah Falaq

Info

  1. Aap ﷺ par ek yahoodi ne jadu kar diya tha. Aap ﷺ par uska asar howa tha. Aap cheeze bhoolne lagy thy.
  2. Surah Falaq aor Surah Nas nazul hui. Aap ﷺ ne inka jab wird kiya to ahista ahista jadu ka asar khatam hogya.
  3. En 2 aakhri surah ko Mauzatain (معوذتین) bhi kehty hain.
  4. Surah Falaq mein insan bahar ki baddi se Allah ki panah maangta hai.
  5. Surah Nas mein insan us burai ya baddi ke shar se Allah ki panah maangta jo insan ke ander se aati.

Panah maangna us zaat ki

  1. Jo sab ka parwardigar hai.
  2. Jo sab ka badshah hai.
  3. Jo sab ka mabood hai.

Allah ki panah mangna us shar se jo insan k ander se usko asarandaz karti hain

  1. Us cheez se jo waswasa dalta hai insan ke dil mein (shaitaan).
  2. Chahye woh jinno mein se ho ya insaano mein se. Shaitan insano mein se bhi ho sakty jo batein karke insan ke dil mein waswase/ bure khayal dal jaty.
  3. Har insan ke sath ek shaitan munsaliq ho jata jab woh peda hota.
  4. Shaitan ke pass bas itni e taqat hai ke woh insan ke nafs ki khuwahiso ko bharka sakta hai. Us ke pas itni taqat nahi ke insan ko gunah ke liye majboor kare. Gunah karna na karne ka fesla insan ke pass e hai.

Quran ke aghaz aor ikhtetam

  1. Aaghaz Surah Fatiha mein Allah ki hidayat maangne se huwa tha, seedha rasta dikhany ki dua se.
  2. Ikhtetam Surah Nas mein shaitan se Allah ki panah maangne par howa hai.
  3. Us hisayat ke rasty par chalty howe jo shar aor rukawatein aye un se Allah ki panah maangna sikhaya gaya hai. Yani Mauzatain (معوذتین) surahs ka wird.
  4. Allah hum sab ko seedhy rasty par chalne ki hidayat farmaye aor shaitan ke shar se mehfooz rakhy. Aamin.